jo banda-e-jaan-e-jaanan hai to jaan jaane se kya matlab
jo banda-e-jān-e-jānāñ hai to jaan jaane se kyā matlab
jo mahv-e-rū-e-jānā hai to hosh aane se kyā matlab
talab jis kī hai vo jaanī bhī hai nazdīk-tar tujh se
na paayā aap ko tuune use paane se kyā matlab
qadam yaañ bul-havas mat rakh ki jāñ-bāzoñ kā kūcha hai
bhalā ahl-e-havas ko sar ke kaTvā ne se kyā matlab
tumhār kushtagān-e-ġham ko ġham khāne kā kyuuñ ġham ho
vo jin ko de chale pahle to mar jaane se kyā matlab
tire dam bharne vaale bhī kahīñ Darte haiñ marne se
fanā ho kar hue baaqī to mar jaane se kyā matlab
talāsh-e-kū-e-jānāñ hai to gum kar aap ko pahle
ba-juz gum-gashtagī ke tujh ko pā jaane se kyā matlab
tirā gum-gashta ulfat jo gum hī ho chukā tujh meñ
nishān us kā jo Thahrā hai use paane se kyā matlab
usī ne ḳhair-o-shar donoñ samajh kar jab banā.e haiñ
hamīñ us ke burā jaane bhalā jaane se kyā matlab
na the ham aur ab ham haiñ na hoñge ek din ham bhī
na samjhe apnā matlab ham to samjhāne se kyā matlab
nahīñ kuchh ham se ho saktā haiñ apne aap darmāñda
to us sūrat se ham ko phir ḳhudā jaane se kyā matlab
'ḳhalīl'-e-ḳhasta kis ne kis kā aadam naam rakhā hai
bhalā is sirr-e-maḳhfī ko batā jaane se kyā matlab
jo banda-e-jaan-e-jaanan hai to jaan jaane se kya matlab
jo mahw-e-ru-e-jaana hai to hosh aane se kya matlab
talab jis ki hai wo jaani bhi hai nazdik-tar tujh se
na paya aap ko tune use pane se kya matlab
qadam yan bul-hawas mat rakh ki jaan-bazon ka kucha hai
bhala ahl-e-hawas ko sar ke kaTwa ne se kya matlab
tumhaar kushtagan-e-gham ko gham khane ka kyun gham ho
wo jin ko de chale pahle to mar jaane se kya matlab
tere dam bharne wale bhi kahin Darte hain marne se
fana ho kar hue baqi to mar jaane se kya matlab
talash-e-ku-e-jaanan hai to gum kar aap ko pahle
ba-juz gum-gashtagi ke tujh ko pa jaane se kya matlab
tera gum-gashta ulfat jo gum hi ho chuka tujh mein
nishan us ka jo Thahra hai use pane se kya matlab
usi ne KHair-o-shar donon samajh kar jab banae hain
hamin us ke bura jaane bhala jaane se kya matlab
na the hum aur ab hum hain na honge ek din hum bhi
na samjhe apna matlab hum to samjhane se kya matlab
nahin kuchh hum se ho sakta hain apne aap darmanda
to us surat se hum ko phir KHuda jaane se kya matlab
'KHalil'-e-KHasta kis ne kis ka aadam nam rakha hai
bhala is sirr-e-maKHfi ko bata jaane se kya matlab
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.