dil humne sanam ko diya nazrana samajh kar
dil ham ne sanam ko diyā nazrāna samajh kar
zālim ne jalāyā hameñ parvāna samajh kar
maiñ tālib-e-bosa huā zulfoñ kā jo un ke
zanjīr se bandhvā diyā dīvāna samajh kar
samajh to mire sāmne muñh khol ke baiThe
phir kar liyā parda hameñ begāna samajh kar
saaqī maiñ tire sadqe mai-e-vasl pilā de
aayā huuñ bahut duur se mai-ḳhāna samajh kar
mansūr isī vāste kahtā thā anal-haq
suulī pe chaḌhāyā use dīvāna samajh kar
dil hum ne sanam ko diya nazrana samajh kar
zalim ne jalaya hamein parwana samajh kar
main talib-e-bosa hua zulfon ka jo un ke
zanjir se bandhwa diya diwana samajh kar
samajh to mere samne munh khol ke baiThe
phir kar liya parda hamein begana samajh kar
saqi main tere sadqe mai-e-wasl pila de
aaya hun bahut dur se mai-KHana samajh kar
mansur isi waste kahta tha anal-haq
suli pe chaDhaya use diwana samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.