Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hue judai se teri be-KHud tujhe hamara KHayal kya hai

Unknown

hue judai se teri be-KHud tujhe hamara KHayal kya hai

Unknown

MORE BYUnknown

    hue judā.ī se terī be-ḳhud tujhe hamārā ḳhayāl kyā hai

    usī tamannā meñ miT ga.e ham kabhī na pūchhā ki haal kyā hai

    mujhe jo āzurda dekhā ik din to ye tabassum se bolā kam-sin

    kareñge puurā jo hogā mumkin batā de terā savāl kyā hai

    kahā jo maiñ ne ki haaye zālim marā maiñ furqat meñ tere us dam

    to bolā martā hai ek 'ālam tumhīñ mare to kamāl kyā hai

    qarār dekhā na bahr-o-bar ko zavāl hai shams aur qamar ko

    ye fikr hai har malak bashar ko falak sitamgar chaal kyā hai

    na 'aql aisī na hosh aisā na kaam apnā suḳhanvarī

    vo dast-e-qudrat se likh rahā hai asar tumhārī majāl kyā hai

    hue judai se teri be-KHud tujhe hamara KHayal kya hai

    usi tamanna mein miT gae hum kabhi na puchha ki haal kya hai

    mujhe jo aazurda dekha ek din to ye tabassum se bola kam-sin

    karenge pura jo hoga mumkin bata de tera sawal kya hai

    kaha jo main ne ki haye zalim mara main furqat mein tere us dam

    to bola marta hai ek 'alam tumhin mare to kamal kya hai

    qarar dekha na bahr-o-bar ko zawal hai shams aur qamar ko

    ye fikr hai har malak bashar ko falak sitamgar ki chaal kya hai

    na 'aql aisi na hosh aisa na kaam apna suKHanwari ka

    wo dast-e-qudrat se likh raha hai asar tumhaari majal kya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now