ruKH par nur se jab kakul-e-mushkin uThaenge
ruḳh par nuur se jab kākul-e-mushkīñ uThā.eñge
barhaman toḌ kar zunnār ko īmān lā.eñge
tamāshā hogā jis din vo naqāb-e-ruḳh uThā.eñge
numūd-e-shahr hogī ek 'ālam ko hilā.eñge
lab-e-jāñ-baḳhsh ko gar bhuul kar bhī vo hilā.eñge
masīhā.ī kareñge saikḌoñ murde jalā.eñge
ḳham-e-abru ko ham mehrāb samjheñ haiñ ki muddat se
ziyārat karne ham kā'ba ke but-ḳhāna ko mil jā.eñge
shahīd-e-karbalā-e-nāz se hogī hameñ ḳhajlat
kabhī tīr-e-nigāh se ham jo pahlū ko bachā.eñge
kareñ kyā jām-e-mai kī iltijā bāda-faroshoñ se
murādeñ apne dil kī sāqī-e-kausar se pā.eñge
rahe gar zindagī ai 'ashrafī' thoḌī zamāne meñ
dar-e-ashraf pe jākar apnā ham maskan banā.eñge
ruKH par nur se jab kakul-e-mushkin uThaenge
barhaman toD kar zunnar ko iman laenge
tamasha hoga jis din wo naqab-e-ruKH uThaenge
numud-e-shahr hogi ek 'alam ko hilaenge
lab-e-jaan-baKHsh ko gar bhul kar bhi wo hilaenge
masihai karenge saikDon murde jalaenge
KHam-e-abru ko hum mehrab samjhen hain ki muddat se
ziyarat karne hum ka'ba ke but-KHana ko mil jaenge
shahid-e-karbala-e-naz se hogi hamein KHajlat
kabhi tir-e-nigah se hum jo pahlu ko bachaenge
karen kya jam-e-mai ki iltija baada-faroshon se
muraden apne dil ki saqi-e-kausar se paenge
rahe gar zindagi ai 'ashrafi' thoDi zamane mein
dar-e-ashraf pe jakar apna hum maskan banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.