husn tera ai sanam aakHir fana ho jaega
husn terā ai sanam ākHir fanā ho jā.egā
chhoḌ de apnā vatan aap hī akelā jā.egā
baam par nañge na aao tum shab-e-mahtāb meñ
chāñdnī paḌ jā.egī melā badan ho jā.egā
qul ke Dhele qabr par merī na maaro ai sanam
ḳhaak chhan-chhan kar giregī melā kafan ho jā.egā
baa'd marne ke mirī ye laash milne kī nahīñ
haDDiyāñ merī chabāne ko humā le jā.egā
dil meñ aatā hai ki dam meñ phūñkūñ koh-e-tūr ko
ye ḳhayāl aatā hai muusā be-vatan ho jā.egā
'ishq to zāhir kiyā tuune ai ‘ramz.ān’ shauq se
un butoñ meñ DhūñDhne se kyā ḳhudā mil jā.egā
husn tera ai sanam aakHir fana ho jaega
chhoD de apna watan aap hi akela jaega
baam par nange na aao tum shab-e-mahtab mein
chandni paD jaegi mela badan ho jaega
qul ke Dhele qabr par meri na maro ai sanam
KHak chhan-chhan kar giregi mela kafan ho jaega
ba'd marne ke meri ye lash milne ki nahin
haDDiyan meri chabane ko huma le jaega
dil mein aata hai ki dam mein phunkun koh-e-tur ko
ye KHayal aata hai musa be-watan ho jaega
'ishq to zahir kiya tune ai ‘ramzan’ shauq se
un buton mein DhunDhne se kya KHuda mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.