jab dil hi nahin qabu mein to kya meri KHata hai ye shan KHuda hai
jab dil hī nahīñ qaabū meñ to kyā merī ḳhatā hai ye shaan ḳhudā hai
sach hai jo mohabbat ko kisī ne ye kahā hai aafat hai balā hai
vāqif haiñ butoñ se hameñ sab haal hai mā'lūm ki jitne haiñ mā'shūq
un ke vo karishme haiñ ki rag-rag meñ daġhā hai kab un se vafā hai
rūThoge agar tum to mnāleñge tumheñ ham is kā to nahīñ ġham
ye chheḌnā mā'shūq kā 'āshiq kā ravā hai us meñ hī mazā hai
āzār-e-mohabbat se to allāh hī bachā.e ye ġham na dikhā.e
ye dard vo hai jis kī nahīñ koī davā hai be-kār du'ā hai
'shaidā' ko lage kosne andāz to dekho kuchh ġhaur karo to
marnā hai to marne ke sivā kaun jiyā hai ākHir ko fanā hai
jab dil hi nahin qabu mein to kya meri KHata hai ye shan KHuda hai
sach hai jo mohabbat ko kisi ne ye kaha hai aafat hai bala hai
waqif hain buton se hamein sab haal hai ma'lum ki jitne hain ma'shuq
un ke wo karishme hain ki rag-rag mein dagha hai kab un se wafa hai
ruThoge agar tum to mnalenge tumhein hum is ka to nahin gham
ye chheDna ma'shuq ka 'ashiq ka rawa hai us mein hi maza hai
aazar-e-mohabbat se to allah hi bachae ye gham na dikhae
ye dard wo hai jis ki nahin koi dawa hai be-kar du'a hai
'shaida' ko lage kosne andaz to dekho kuchh ghaur karo to
marna hai to marne ke siwa kaun jiya hai aakHir ko fana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.