zara samjho sitam-garo ye kyun pani ki bandi hai
zarā samjho sitam-gāro ye kyuuñ paanī kī bandī hai
are o sañg-dil logoñ ye kyuuñ paanī kī bandī hai
kahā 'abbās ne kyuuñ kar bane ai kāfir-o-be-dard
nahīñ bilkul hai tum ko dard kyuuñ paanī kī bandī hai
nabī ke laḳht-e-dil pyāre haiñ bekal pyaas ke maare
bas ab tarsāo mat un ko ye kyuuñ paanī kī bandī hai
mujhe ik mashk paanī ke liye zālim na tarsāo
kahīñ tūfāñ na paidā ho ye kyuuñ paanī kī bandī hai
kaThin hai roz mahshar kā ḳhudā jis vaqt pūchhegā
kahoge kyā batāo to ye kyuuñ paanī kī bandī hai
zara samjho sitam-garo ye kyun pani ki bandi hai
are o sang-dil logon ye kyun pani ki bandi hai
kaha 'abbas ne kyun kar bane ai kafir-o-be-dard
nahin bilkul hai tum ko dard kyun pani ki bandi hai
nabi ke laKHt-e-dil pyare hain bekal pyas ke mare
bas ab tarsao mat un ko ye kyun pani ki bandi hai
mujhe ek mashk pani ke liye zalim na tarsao
kahin tufan na paida ho ye kyun pani ki bandi hai
kaThin hai roz mahshar ka KHuda jis waqt puchhega
kahoge kya batao to ye kyun pani ki bandi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.