mujhse bargashta jo tu ai gul-badan ho jaega
mujh se bargashta jo tū ai gul-badan ho jā.egā
merī nazroñ meñ jahāñ ujḌā vatan ho jā.egā
dāġh-hāye dil agar mere bahāroñ par rahe
ek din siina merā rashk-e-chaman ho jā.egā
mujh ko dīvāna samajh kar aap chheḌeñge zarūr
mere matlab kā mirā dīvāna-pan ho jā.egā
haaye itnā bhī na aayā 'ishq-e-lailā ko ḳhayāl
is junūñ meñ qais āvāra-vatan ho jā.egā
ai ḳhayālī dekhne hī kī hai ye sab kuchh bahār
ek din barbād hastī kā chaman ho jā.egā
mujh se bargashta jo tu ai gul-badan ho jaega
meri nazron mein jahan ujDa watan ho jaega
dagh-haye dil agar mere bahaaron par rahe
ek din sina mera rashk-e-chaman ho jaega
mujh ko diwana samajh kar aap chheDenge zarur
mere matlab ka mera diwana-pan ho jaega
haye itna bhi na aaya 'ishq-e-laila ko KHayal
is junun mein qais aawara-watan ho jaega
ai KHayali dekhne hi ki hai ye sab kuchh bahaar
ek din barbaad hasti ka chaman ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.