de ke gham yas-o-alam hasrat-o-arman mujhko
de ke ġham yās-o-alam hasrat-o-armāñ mujh ko
tum ne rahne na diyā be-sar-o-sāmāñ mujh ko
phir bahār aa.ī gulistāñ ne sañvāre gesū
phir junūñ le ke chalā sū-e-bayābāñ mujh ko
is liye shaad huuñ maiñ apnī pareshānī par
ḳhush huā karte haiñ vo kar ke pareshāñ mujh ko
ho ke banda tirā be-kas rahūñ majbūr rahūñ
kyā banāyā thā isī vāste insāñ mujh ko
de ke gham yas-o-alam hasrat-o-arman mujh ko
tum ne rahne na diya be-sar-o-saman mujh ko
phir bahaar aai gulistan ne sanware gesu
phir junun le ke chala su-e-bayaban mujh ko
is liye shad hun main apni pareshani par
KHush hua karte hain wo kar ke pareshan mujh ko
ho ke banda tera be-kas rahun majbur rahun
kya banaya tha isi waste insan mujh ko
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 300)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.