Sufinama

dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua

Unknown

dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua

Unknown

MORE BYUnknown

    dil dair-o-haram meñ kahīñ na lagā ye bhī na huā vo bhī na huā

    na to but milā na ḳhudā milā ye bhī na huā vo bhī na huā

    na shigāf qafas se uḌ sakā na to aa.ī chaman se bād-e-sabā

    sāmān-e-tasallī bhī na huā ye bhī na huā vo bhī na huā

    duniyā milī na milā hameñ diiñ ga.ī donoñ jahāñ se jān-e-hazīñ

    na idhar huā na udhar huā ye bhī na huā vo bhī na huā

    āñkhoñ se chhupā dil meñ na rahā parda bhī nikālā ne nayā

    allāh re hayā allāh re hayā ye bhī na huā vo bhī na huā

    na to ruḳh se tumhāre naqāb uThā na tilism-e-hayā koī toḌ sakā

    na qubūl huī kuchh merī du'ā ye bhī na huā vo bhī na huā

    thā shauq idhar dīdār talab vahāñ māne.a 'arz-e-suḳhan thā adab

    chup rah na sakā kuchh kah na sakā ye bhī na huā vo bhī na huā

    bulbul ḳhush aa.ī gul ko sadā qumrī ke liye ḳhud sarv jhukā

    aur tujh ko to 'shākir' naġhma mirā ye bhī na huā vo bhī na huā

    dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua

    na to but hi mila na KHuda hi mila ye bhi na hua wo bhi na hua

    na shigaf qafas se uD hi saka na to aai chaman se baad-e-saba

    saman-e-tasalli bhi na hua ye bhi na hua wo bhi na hua

    duniya hi mili na mila hamein din gai donon jahan se jaan-e-hazin

    na idhar ka hua na udhar ka hua ye bhi na hua wo bhi na hua

    aankhon se chhupa dil mein na raha parda bhi nikala tu ne naya

    allah re haya allah re haya ye bhi na hua wo bhi na hua

    na to ruKH se tumhaare naqab uTha na tilism-e-haya koi toD saka

    na qubul hui kuchh meri du'a ye bhi na hua wo bhi na hua

    tha shauq idhar didar talab wahan manea 'arz-e-suKHan tha adab

    chup rah na saka kuchh kah na saka ye bhi na hua wo bhi na hua

    bulbul ki KHush aai gul ko sada qumri ke liye KHud sarw jhuka

    aur tujh ko to 'shakir' naghma mera ye bhi na hua wo bhi na hua

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 4)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now