dil mein agar taDap na ho aashiqi aashiqi nahin
dil meñ agar taḌap na ho 'āshiqī 'āshiqī nahīñ
dard se ho jo be-ḳhabar aadmī aadmī nahīñ
jis kā 'ilāj ho sake dard vo dard hī nahīñ
jis meñ sukūñ nasīb ho vo koī zindagī nahīñ
tere karam se be-niyāz kaun sī shai milī nahīñ
jholī hī apnī tañg hai tere yahāñ kamī nahīñ
tere hī āstāñ se hai rabt-e-niyāz-e-mustaqil
merī jabīñ ye be-niyāz aur kahīñ jhukī nahīñ
dil mein agar taDap na ho 'ashiqi 'ashiqi nahin
dard se ho jo be-KHabar aadmi aadmi nahin
jis ka 'ilaj ho sake dard wo dard hi nahin
jis mein sukun nasib ho wo koi zindagi nahin
tere karam se be-niyaz kaun si shai mili nahin
jholi hi apni tang hai tere yahan kami nahin
tere hi aastan se hai rabt-e-niyaz-e-mustaqil
meri jabin ye be-niyaz aur kahin jhuki nahin
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 320)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.