chain tum se qarār tum se hai
zindagī kī bahār tum se hai
kyā karūñ le ke saarī duniyā ko
saarī duniyā meñ pyaar tum se hai
yuuñ to duniyā meñ haiñ hazār hasīñ
mere dil kā qarār tum se hai
laaj rakhnā ki maiñ tumhārā huuñ
merī jiit aur haar tum se hai
be vasīloñ kā tum vasīla ho
fazl-e-parvardigār tum se hai
yā mohammad ummīd-vār-e-karam
hazrat-e-ḳhāksār tum se hai
chain tum se qarar tum se hai
zindagi ki bahaar tum se hai
kya karun le ke sari duniya ko
sari duniya mein pyar tum se hai
yun to duniya mein hain hazar hasin
mere dil ka qarar tum se hai
laj rakhna ki main tumhaara hun
meri jit aur haar tum se hai
be wasilon ka tum wasila ho
fazl-e-parwardigar tum se hai
ya mohammad ummid-war-e-karam
hazrat-e-KHaksar tum se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.