yunhi juda-juda gar ai jaan-e-man rahega
yūñhī judā-judā gar ai jān-e-man rahegā
sarsabz kis tarah phir dil kā chaman rahegā
saaya kī tarah hoñge ham bhī judā na un se
kunj-e-lahad meñ kyuuñ kar be-jān tan rahegā
bhūle se tum jo aanā Thokar lagā ke jaanā
lāsha vahīñ hamārā jo be-kafan rahegā
marne ke baa'd hogā takiya na koī bistar
miTTī ke bistare par terā badan rahegā
ai ruuh kī vo rasītī be-kār hai bashar ko
marne ke baa'd tan par saada kafan rahegā
yunhi juda-juda gar ai jaan-e-man rahega
sarsabz kis tarah phir dil ka chaman rahega
saya ki tarah honge hum bhi juda na un se
kunj-e-lahad mein kyun kar be-jaan tan rahega
bhule se tum jo aana Thokar laga ke jaana
lasha wahin hamara jo be-kafan rahega
marne ke ba'd hoga takiya na koi bistar
miTTi ke bistare par tera badan rahega
ai ruh ki wo rasiti be-kar hai bashar ko
marne ke ba'd tan par sada kafan rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.