jo rukHsār-e-shah pe nazar jā.egī
guloñ se tabī'at utar jā.egī
jo zulf-e-payamber bikhar jā.egī
mo'attar do-'ālam ko kar jā.egī
zuleḳhā agar dekh le aap ko
na yūsuf pe us kī nazar jā.egī
idhar kū-e-ahmad udhar hai bahisht
batā ruuh jaldī kidhar jā.egī
qayāmat ke din pul pe ummat tirī
havā kī tarah se guzar jā.egī
jo ḳhud nā-ḳhudā.ī kareñge nabī
to jannat meñ sab ummat phir jā.egī
maiñ ruḳhsār-e-shah kā huuñ 'āshiq 'nasīm'
mirī qabr phūloñ se bhar jā.egī
jo rukHsar-e-shah pe nazar jaegi
gulon se tabi'at utar jaegi
jo zulf-e-payamber bikhar jaegi
mo'attar do-'alam ko kar jaegi
zuleKHa agar dekh le aap ko
na yusuf pe us ki nazar jaegi
idhar ku-e-ahmad udhar hai bahisht
bata ruh jaldi kidhar jaegi
qayamat ke din pul pe ummat teri
hawa ki tarah se guzar jaegi
jo KHud na-KHudai karenge nabi
to jannat mein sab ummat phir jaegi
main ruKHsar-e-shah ka hun 'ashiq 'nasim'
meri qabr phulon se bhar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.