talib-e-wasl-e-yar hun shauq-e-jigar ko kya karun
tālib-e-vasl-e-yār huuñ shauq-e-jigar ko kyā karūñ
hijr se be-qarār huuñ sūd-o-zarar ko kyā karūñ
mahv-e-jamāl hai koī mahv-e-ḳhayāl hai koī
maiñ huuñ tumhīñ ko dekhtā shauq-e-nazar ko kyā karūñ
fikr hai rāt-din yahī rāh-e-'adam kī hai kaThin
bār-e-gunāh sar pe hai zād-e-safar ko kyā karūñ
hijr se dil hai pur-laqab shab kī añdherī hai ġhazab
'āshiq huuñ zulf-o-ruḳh kā maiñ shām-o-sahar ko kyā karūñ
marham-e-vasl-e-dilrubā lā.ūñ kahāñ se ai ḳhudā
chāra-garī se tañg huuñ zaḳhm-e-jigar ko kyā karūñ
talib-e-wasl-e-yar hun shauq-e-jigar ko kya karun
hijr se be-qarar hun sud-o-zarar ko kya karun
mahw-e-jamal hai koi mahw-e-KHayal hai koi
main hun tumhin ko dekhta shauq-e-nazar ko kya karun
fikr hai raat-din yahi rah-e-'adam ki hai kaThin
bar-e-gunah sar pe hai zad-e-safar ko kya karun
hijr se dil hai pur-laqab shab ki andheri hai ghazab
'ashiq hun zulf-o-ruKH ka main sham-o-sahar ko kya karun
marham-e-wasl-e-dilruba laun kahan se ai KHuda
chaara-gari se tang hun zaKHm-e-jigar ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.