tu hai to tere talib-e-didar bahut hain
tū hai to tire tālib-e-dīdār bahut haiñ
yūsuf hai salāmat to ḳharīdār bahut haiñ
tishna-dahan sharbat-e-dīdār bahut haiñ
sach hai ki anaar ek hai bīmār bahut haiñ
zanjīr hai ik aur ka.ī laakh haiñ qaidī
'āshiq tire gesū meñ giraftār bahut haiñ
phir jaa.e ḳhudā.ī to butoñ se na phireñ ham
patthar meñ bhī allāh ke asrār bahut haiñ
mansūr ke mānind bhī sardār bahut haiñ
haq kahne kā hai ek ko haqdār bahut haiñ
maiñ āl-e-mohammad ke tasadduq meñ bachūñgā
allāh ke ghar mire muḳhtār bahut haiñ
tu hai to tere talib-e-didar bahut hain
yusuf hai salamat to KHaridar bahut hain
tishna-dahan sharbat-e-didar bahut hain
sach hai ki anar ek hai bimar bahut hain
zanjir hai ek aur kai lakh hain qaidi
'ashiq tere gesu mein giraftar bahut hain
phir jae KHudai to buton se na phiren hum
patthar mein bhi allah ke asrar bahut hain
mansur ke manind bhi sardar bahut hain
haq kahne ka hai ek ko haqdar bahut hain
main aal-e-mohammad ke tasadduq mein bachunga
allah ke ghar mere muKHtar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.