maika suratiya lage tori pyari
Interesting Fact
دادرا
maikā sūratiyā lage torī pyārī
na gul se kaam na bulbul se kaam hai mujh ko
hamesha vird-e-zabāñ terā naam hai mujh ko
terā hī tazkira bas sub.h-o-shām hai mujh ko
maikā sūratiyā lage torī pyaar
kuchh ab talak nahīñ mā'lūm dil kā haal tumheñ
hamārā dam nikaltā hai nahīñ ḳhayāl tumheñ
hogā koī zamāne meñ be-vafā tum sā
maikā sūratiyā lage torī pyārī
ḳhudā ke vāste kuchh muñh se bolo ab to zarā
tumhārī chup ne to goyā hameñ hai qatl kiyā
milāo aañkh na sharmāo jī barā-e-ḳhudā
maikā sūratiyā lage torī pyārī
tere sivā nahīñ kuchh aur mujh ko bhātā hai
tirā ḳhayāl mujhe har ghaḌī satātā hai
na shab ko sotā huuñ na chain din ko aatā hai
maikā sūratiyā lage torī pyārī
ḳhudā ke vāste mujh se tū kyuuñ nahīñ miltā
batā de maiñ ne tirā kaun sā qusūr kiyā
jo kuchh qusūr kyā ho to baḳhsh de lillāh
maikā sūratiyā lage torī pyārī
maika suratiya lage tori pyari
na gul se kaam na bulbul se kaam hai mujh ko
hamesha wird-e-zaban tera nam hai mujh ko
tera hi tazkira bas subh-o-sham hai mujh ko
maika suratiya lage tori pyar
kuchh ab talak nahin ma'lum dil ka haal tumhein
hamara dam nikalta hai nahin KHayal tumhein
hoga koi zamane mein be-wafa tum sa
maika suratiya lage tori pyari
KHuda ke waste kuchh munh se bolo ab to zara
tumhaari chup ne to goya hamein hai qatl kiya
milao aankh na sharmao ji bara-e-KHuda
maika suratiya lage tori pyari
tere siwa nahin kuchh aur mujh ko bhata hai
tera KHayal mujhe har ghaDi satata hai
na shab ko sota hun na chain din ko aata hai
maika suratiya lage tori pyari
KHuda ke waste mujh se tu kyun nahin milta
bata de main ne tera kaun sa qusur kiya
jo kuchh qusur kya ho to baKHsh de lillah
maika suratiya lage tori pyari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.