wahi deta hai KHuda dil se jo banda mange
vahī detā hai ḳhudā dil se jo banda māñge
chāhe 'uqbā koī māñge ki vo duniyā māñge
māñgne vāloñ ne allāh se kyā chhoḌ diyā
ye dil-e-ġham-zada ab tere sivā kyā māñge
mujh ko kyā degā tū o mire dene vaale
tujh se agar tujh ko tirā chāhne vaalā māñge
apne maqsūm se zaa.id koī duniyā meñ nahīñ
māñgne vaalā bhalā tere sivā kyā māñge
us se milne kī du'ā hijr meñ yuuñ māñgte haiñ
jis tarah pyaas meñ paanī ko pyāsā māñge
wahi deta hai KHuda dil se jo banda mange
chahe 'uqba koi mange ki wo duniya mange
mangne walon ne allah se kya chhoD diya
ye dil-e-gham-zada ab tere siwa kya mange
mujh ko kya dega tu o mere dene wale
tujh se agar tujh ko tera chahne wala mange
apne maqsum se zaid koi duniya mein nahin
mangne wala bhala tere siwa kya mange
us se milne ki du'a hijr mein yun mangte hain
jis tarah pyas mein pani ko pyasa mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.