kaun kahta hai nikalenge wo hasrat meri
kaun kahtā hai nikāleñge vo hasrat merī
na muravvat unheñ merī na mohabbat merī
kaash mil jaa.e kahīñ tesha-o-farhād mujhe
yuuñ to kaaTe nahīñ kaTtī shab-e-furqat merī
sej hai ehsān kā bhī bojh bahut hotā hai
chaar phūloñ se dabī jaatī hai turbat merī
lutf hī lutf hai talvār uThā le qātil
terī shohrat huī jaatī hai shahādat merī
tum jafā mujh pe karo zulm karo qatl karo
maiñ yahī muñh se kahe jā.ūñgā qismat merī
jaate jaate yahī kar ga.e tākīd 'shafī'
dil meñ rahegā hifāzat se mohabbat merī
kaun kahta hai nikalenge wo hasrat meri
na murawwat unhen meri na mohabbat meri
kash mil jae kahin tesha-o-farhad mujhe
yun to kaTe nahin kaTti shab-e-furqat meri
sej hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri
lutf hi lutf hai talwar uTha le qatil
teri shohrat hui jati hai shahadat meri
tum jafa mujh pe karo zulm karo qatl karo
main yahi munh se kahe jaunga qismat meri
jate jate yahi kar gae takid 'shafi'
dil mein rahega hifazat se mohabbat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.