piya se sandesa mora kahiyo jae re
Interesting Fact
بھیروی
piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e re
kaagā jaare piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e
kaagā nain nikās duuñ so pī ke paas le jaa.e
pahle daras dikhā.e ke pāchhe līn.ho khaa.e
piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e re
kaagā sab tan khā.iyo chun-chun khā.iyo maas
do nainā mat khā.iyo mohe piyā milan kī aas
kaagā jaare piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e
na thā mā'lūm ulfat meñ ki ġham khānā bhī hotā hai
jigar kī bekalī aur dil kā pachhtānā bhī hotā hai
sisaktā aah karatā ashk bhar laanā bhī hotā hai
taḌapnā lauTnā betāb ho jaanā bhī hotā hai
kiye par apne ko āḳhir pe dukh paanā bhī hotā hai
kaf-e-afsos ko mal-mal ke pachhtānā bhī hotā hai
jo maiñ aisā jāntī ki piit kiye dukh hue
nagar DhūñDhā rā phertī ki piit kare nā koy
piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e re
kabhī ho garebāñ chaak sahrā ko nikaltā huuñ
kabhī ghabrā ke phir ghar kī taraf nā-chār phirtā huuñ
lagī hai aag dil meñ sham' sā jal kar pighaltā huuñ
dhuāñ uThtā hai aahoñ kā ba-rañg-e-mom jaltā huuñ
badan meñ dekh kar sho'le bhaḌakte haath maltā huuñ
phaphole tan se uThte haiñ battī kī tarh jaltā huuñ
birah kī aag tan meñ lagī jaran sab ghaat
naarī ‘jūdat’ bhed ke paḌe phapholā haat
piyā se sandesā morā kahiyo jaa.e re
piya se sandesa mora kahiyo jae re
kaga jare piya se sandesa mora kahiyo jae
kaga nain nikas dun so pi ke pas le jae
pahle daras dikhae ke pachhe linho khae
piya se sandesa mora kahiyo jae re
kaga sab tan khaiyo chun-chun khaiyo mas
do naina mat khaiyo mohe piya milan ki aas
kaga jare piya se sandesa mora kahiyo jae
na tha ma'lum ulfat mein ki gham khana bhi hota hai
jigar ki bekali aur dil ka pachhtana bhi hota hai
sisakta aah karata ashk bhar lana bhi hota hai
taDapna lauTna betab ho jaana bhi hota hai
kiye par apne ko aaKHir pe dukh pana bhi hota hai
kaf-e-afsos ko mal-mal ke pachhtana bhi hota hai
jo main aisa jaanti ki pit kiye dukh hue
nagar DhunDha ra pherti ki pit kare na koy
piya se sandesa mora kahiyo jae re
kabhi ho gareban chaak sahra ko nikalta hun
kabhi ghabra ke phir ghar ki taraf na-chaar phirta hun
lagi hai aag dil mein sham' sa jal kar pighalta hun
dhuan uThta hai aahon ka ba-rang-e-mom jalta hun
badan mein dekh kar sho'le bhaDakte hath malta hun
phaphole tan se uThte hain batti ki tarh jalta hun
birah ki aag tan mein lagi jaran sab ghat
nari ‘judat’ bhed ke paDe phaphola hat
piya se sandesa mora kahiyo jae re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.