hai said fana jo hadaf-e-tir nazar hai
hai said fanā jo hadaf-e-tīr nazar hai
chīro mire siine ko to dil hai na jigar hai
ulfat jise kahte haiñ vo āzār kā ghar hai
bas meñ hai na dil aur na qaabū meñ jigar hai
nashtar hai na bhālā hai na barchhī na tabar hai
dil meñ jo chubhī hai vo hasīnoñ kī nazar hai
suntā huuñ ki har vaqt nazāra hai usī kā
jo aage na pīchhe na idhar hai na udhar hai
sharm aatī hai kahte hue 'āshiq huuñ kisī kā
nāloñ meñ na tāsīr hai na aahoñ meñ asar hai
laġhzish jo huī hazrat-e-ādam se bashar ko
'aasī ko kyuuñ kaho vo bhī to bashar hai
hai said fana jo hadaf-e-tir nazar hai
chiro mere sine ko to dil hai na jigar hai
ulfat jise kahte hain wo aazar ka ghar hai
bas mein hai na dil aur na qabu mein jigar hai
nashtar hai na bhaala hai na barchhi na tabar hai
dil mein jo chubhi hai wo hasinon ki nazar hai
sunta hun ki har waqt nazara hai usi ka
jo aage na pichhe na idhar hai na udhar hai
sharm aati hai kahte hue 'ashiq hun kisi ka
nalon mein na tasir hai na aahon mein asar hai
laghzish jo hui hazrat-e-adam se bashar ko
'asi ko kyun kaho wo bhi to bashar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.