mast-e-alast saqi mujhko bana raha hai
mast-e-alast saaqī mujh ko banā rahā hai
kaif-e-sharāb-e-ulfat āñkhoñ meñ aa rahā hai
āñkheñ milā-milā kar be-ḳhud banā rahā hai
vo mast-e-nāz mujh ko piyāla pilā rahā hai
josh-e-bahār hai phir kaalī ghaTā ke sadqe
zauq-e-sharāb mastī phir gudgudā rahā hai
chhan-chhan ke nuur us kā phailā hai sab jahāñ meñ
parde meñ baiTh kar vo jalva dikhā rahā hai
zabt-e-darūñ ne jaise bhaḌkā diye haiñ sho’le
ghuT ghaT ke ġham se naala dil ko jilā rahā hai
har rañg meñ nihāñ hai har shakl meñ ayaañ hai
āñkhoñ meñ bas rahā hai dil meñ samā rahā hai
vo zār-o-nā-tavāñ hai bīmār-e-ġham ilāhī
har saañs chuTkiyoñ meñ tan ko uḌā rahā hai
uljhan meñ paḌ gayā hai dil chāk-chāk ho kar
shāna se aaj koī zulfeñ banā rahā hai
kis ne dikhā diyā hai yā-rab jamāl apnā
kyuuñ aaj shakl-e-mūsā ġhash mujh ko aa rahā hai
marqad meñ so rahe haiñ haare thake hue ham
kyuuñ aaj shor-e-mahshar ham ko jagā rahā hai
de-de ke rañj 'raunaq' us 'ishq ne miTāyā
āġhāz kyā rahā thā anjām kyā rahā hai
mast-e-alast saqi mujh ko bana raha hai
kaif-e-sharab-e-ulfat aankhon mein aa raha hai
aankhen mila-mila kar be-KHud bana raha hai
wo mast-e-naz mujh ko piyala pila raha hai
josh-e-bahaar hai phir kali ghaTa ke sadqe
zauq-e-sharab masti phir gudguda raha hai
chhan-chhan ke nur us ka phaila hai sab jahan mein
parde mein baiTh kar wo jalwa dikha raha hai
zabt-e-darun ne jaise bhaDka diye hain sho’le
ghuT ghaT ke gham se nala dil ko jila raha hai
har rang mein nihan hai har shakl mein ayan hai
aankhon mein bas raha hai dil mein sama raha hai
wo zar-o-na-tawan hai bimar-e-gham ilahi
har sans chuTkiyon mein tan ko uDa raha hai
uljhan mein paD gaya hai dil chaak-chaak ho kar
shana se aaj koi zulfen bana raha hai
kis ne dikha diya hai ya-rab jamal apna
kyun aaj shakl-e-musa ghash mujh ko aa raha hai
marqad mein so rahe hain haare thake hue hum
kyun aaj shor-e-mahshar hum ko jaga raha hai
de-de ke ranj 'raunaq' us 'ishq ne miTaya
aaghaz kya raha tha anjam kya raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.