phira zamana mein chaar jaanib sanam sarapa tumhin ko dekha
phirā zamāna meñ chaar jānib sanam sarāpā tumhīñ ko dekhā
hasīn dekhe jamīl dekhe par ek tum sā tumhīñ ko dekhā
hazāroñ e'jāz har suḳhan meñ yagāna har ek bāñkpan meñ
har ik adā meñ har ik fan meñ nayā nirālā tumhīñ to dekhā
na dekhā mahbūb koī aisā ki 'āshiqoñ par ho mahv-o-shaidā
na ḳhud-numā ho na be-vafā ho na.ī sifat kā tumhīñ ko dekhā
jo māñgā maiñ ne diyā vo tum ne kahā jo maiñ ne kiyā vo tum ne
kahūñ na gar jhuuT sach to ye jahāñ meñ sachchā tumhīñ ko dekhā
agarche is gulshan-e-jahāñ meñ hazāroñ gul haiñ ba-rañg-e-dīgar
magar ba-kHushbū-e-rūh-parvar sadā mahaktā tumheñ ko dekhā
phira zamana mein chaar jaanib sanam sarapa tumhin ko dekha
hasin dekhe jamil dekhe par ek tum sa tumhin ko dekha
hazaron e'jaz har suKHan mein yagana har ek bankpan mein
har ek ada mein har ek fan mein naya nirala tumhin to dekha
na dekha mahbub koi aisa ki 'ashiqon par ho mahw-o-shaida
na KHud-numa ho na be-wafa ho nai sifat ka tumhin ko dekha
jo manga main ne diya wo tum ne kaha jo main ne kiya wo tum ne
kahun na gar jhuT sach to ye jahan mein sachcha tumhin ko dekha
agarche is gulshan-e-jahan mein hazaron gul hain ba-rang-e-digar
magar ba-kHushbu-e-ruh-parwar sada mahakta tumhein ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.