ho ek nazar idhar bhi o aan ban wale
ho ik nazar idhar bhī o aan baan vaale
ik tiir pheñktā jā bāñgī kamān vaale
maiñ ḳhat to tujh ko bhejūñ o āsmān vaale
lekin kahāñ kabūtar ūñchī uḌaan vaale
kā'be meñ tujh ko DhūñDūñ yā but-kada ke andar
kuchh to nishāñ batā de o be-nishān vaale
maiñ kis se jā ke pūchhūñ tahqīq-e-hāl terā
chup haiñ yaqīn vaale gum haiñ gumān vaale
ik merī hī du'ā par kyā paḌ ga.e haiñ patthar
tū sab kī sun rahā hai o āsmān vaale
kā'be ke jaane vaale kā'ba ko jā rahe haiñ
tū hī idhar ko aa jā kā'ba banāne vaale
ho ek nazar idhar bhi o aan ban wale
ek tir phenkta ja bangi kaman wale
main KHat to tujh ko bhejun o aasman wale
lekin kahan kabutar unchi uDan wale
ka'be mein tujh ko DhunDun ya but-kada ke andar
kuchh to nishan bata de o be-nishan wale
main kis se ja ke puchhun tahqiq-e-haal tera
chup hain yaqin wale gum hain guman wale
ek meri hi du'a par kya paD gae hain patthar
tu sab ki sun raha hai o aasman wale
ka'be ke jaane wale ka'ba ko ja rahe hain
tu hi idhar ko aa ja ka'ba banane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.