Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo wo mudda’i se KHafa ho raha hai

Unknown

jo wo mudda’i se KHafa ho raha hai

Unknown

MORE BYUnknown

    jo vo mudda’ī se ḳhafā ho rahā hai

    to dil mire mudda'ā ho rahā hai

    sub.h-e-vasl-e-mahshar bapā ho rahā hai

    mirā mujh se dilbar judā ho rahā hai

    merī jaañ shab-e-vasl 'āshiq ke haq meñ

    tirā kosnā bhī du'ā ho rahā hai

    shab-e-vasl chheḌā to sharmā ke bole

    baḌā aaj be-hayā ho rahā hai

    shab hijr bezār ho zindagī se

    mirā dil bhī mujh se ḳhafā ho rahā hai

    janāze pe mere jo logoñ ko dekhā

    to ghabrā ke pūchhā ye kyā ho rahā hai

    merī laash pe aa ke ġhairoñ se bole

    ye hai kaun aur is ko kyā ho rahā hai

    maraz-e-'ishq baḌh gayā hai tabībo

    mirā dard ab lā-davā ho gayā hai

    rasā.ī darbār tak ho to kyuuñ kar

    muqaddar jab nā-rasā ho rahā hai

    shab-e-ġham meñ hamdam nahīñ koī shaidā

    mirā dil mujh se ḳhafā ho rahā hai

    jo wo mudda’i se KHafa ho raha hai

    to dil ka mere mudda'a ho raha hai

    subh-e-wasl-e-mahshar bapa ho raha hai

    mera mujh se dilbar juda ho raha hai

    meri jaan shab-e-wasl 'ashiq ke haq mein

    tera kosna bhi du'a ho raha hai

    shab-e-wasl chheDa to sharma ke bole

    baDa aaj tu be-haya ho raha hai

    shab hijr bezar ho zindagi se

    mera dil bhi mujh se KHafa ho raha hai

    janaze pe mere jo logon ko dekha

    to ghabra ke puchha ye kya ho raha hai

    meri lash pe aa ke ghairon se bole

    ye hai kaun aur is ko kya ho raha hai

    maraz-e-'ishq baDh gaya hai tabibo

    mera dard ab la-dawa ho gaya hai

    rasai darbar tak ho to kyun kar

    muqaddar hi jab na-rasa ho raha hai

    shab-e-gham mein hamdam nahin koi shaida

    mera dil hi mujh se KHafa ho raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now