kyun dil-jalon ke lab par hamesha fughan na ho
kyuuñ dil-jaloñ ke lab par hamesha fuġhāñ na ho
mumkin nahīñ ki aag lage aur dhuāñ na ho
maiñ zab.h honā chāhūñ to vo inkār kareñ
vo qatl gar kareñ bhī to ḳhanjar ravāñ na ho
dhabba lage na teġh ko ḳhūnf-e-shahīd kā
yuuñ qatl kar ki tujh pe kisī kā gumāñ na ho
itnā shab-e-visāl meñ lāzim hai band-o-bast
tā hashr masjidoñ meñ sahar kī azaañ na ho
zāhid sharāb piine de masjid meñ baiTh kar
yā vo jagah batā de jahāñ par ḳhudā na ho
naam apnā zindagī meñ yahāñ tak
bā'd-e-fanā bhī qabr kā mutlaq nishāñ na ho
kyun dil-jalon ke lab par hamesha fughan na ho
mumkin nahin ki aag lage aur dhuan na ho
main zabh hona chahun to wo inkar karen
wo qatl gar karen bhi to KHanjar rawan na ho
dhabba lage na tegh ko KHunf-e-shahid ka
yun qatl kar ki tujh pe kisi ka guman na ho
itna shab-e-visal mein lazim hai band-o-bast
ta hashr masjidon mein sahar ki azan na ho
zahid sharab pine de masjid mein baiTh kar
ya wo jagah bata de jahan par KHuda na ho
nam apna zindagi mein yahan tak
ba'd-e-fana bhi qabr ka mutlaq nishan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.