dil-o-dil meñ phir ān-bān vaale
sikke biThā rahe haiñ nām-o-nishān vaale
tiir nazar se terī abr-o-kamān vaale
bachte nahīñ kabūtar ūñchī uḌaan vaale
āsāñ na qatl hoñge ham saḳht jaan vaale
beḌā na tū uThānā o dhān-pān vaale
maiñ aur sabr merā aafat nasīb donoñ
ek teġh ek qātil do imtihān vaale
uThtī javāniyoñ par bohtān bāñdh kar bhī
mahram burī na Thahre achchhī uThān vaale
kab tak raheñ sambhāle sar par hamāre naale
apnā zamīn uThā le e āsmān vaale
ham be-zabān haiñ goyā kahte nahīñ kuchh un ko
muñh aa.eñ kyuuñ na dushman TeḌhī zabān vaale
shīrīnī suḳhan kī gar chāshnī yahī hai
phīke paḌeñge 'nāzim' ūñchī dukān vaale
dil-o-dil mein phir aan-ban wale
sikke biTha rahe hain nam-o-nishan wale
tir nazar se teri abr-o-kaman wale
bachte nahin kabutar unchi uDan wale
aasan na qatl honge hum saKHt jaan wale
beDa na tu uThana o dhan-pan wale
main aur sabr mera aafat nasib donon
ek tegh ek qatil do imtihan wale
uThti jawaniyon par bohtan bandh kar bhi
mahram buri na Thahre achchhi uThan wale
kab tak rahen sambhaale sar par hamare nale
apna zamin uTha le e aasman wale
hum be-zaban hain goya kahte nahin kuchh un ko
munh aaen kyun na dushman TeDhi zaban wale
shirini suKHan ki gar chashni yahi hai
phike paDenge 'nazim' unchi dukan wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.