chori khul jae abhi sar ko uThaen kyun kar
chorī khul jaa.e abhī sar ko uThā.eñ kyuuñ kar
dil liye baiThe haiñ vo aañkh milā.eñ kyuuñ kar
hiila hai nāz-o-nazākat se vo aa.eñ kyuuñ kar
zo'f chalne nahīñ detā hameñ jaa.eñ kyuuñ kar
ham par ai dil jo taqāzā hai terā tū hī batā
vo to rūThe hue baiThe haiñ manā.eñ kyuuñ kar
qudratī nashv-o-numā bhī kahīñ miT saktī hai
chhup nahīñ saktā hai siina vo chhupā.eñ kyuuñ kar
ye bhī din yaad rahe yaad karoge ik din
ġhair kah deñge terā naaz uThā.eñ kyuuñ kar
chori khul jae abhi sar ko uThaen kyun kar
dil liye baiThe hain wo aankh milaen kyun kar
hila hai naz-o-nazakat se wo aaen kyun kar
zo'f chalne nahin deta hamein jaen kyun kar
hum par ai dil jo taqaza hai tera tu hi bata
wo to ruThe hue baiThe hain manaen kyun kar
qudrati nashw-o-numa bhi kahin miT sakti hai
chhup nahin sakta hai sina wo chhupaen kyun kar
ye bhi din yaad rahe yaad karoge ek din
ghair kah denge tera naz uThaen kyun kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.