fana ban kar malal KHatir mahzun-e-ayan kyun ho
fanā ban kar malāl ḳhātir mahzūn-e-'ayāñ kyuuñ ho
koī ye bhī digar pūchhe ki sargarm-e-fuġhāñ kyuuñ ho
merī gardish kī bā'is rahtī hai gardish zamāna meñ
rahūñ jab maiñ na duniyā meñ to duur āsmāñ kyuuñ ho
na dil pahlū meñ zaḳhmī ho to ashkoñ meñ lahū kaisā
jo siina meñ na sozish ho to aahoñ meñ dhuāñ kaisā
kisī ko kyā ġharaz furqat meñ koī jaan bhī de de
taġhāful jis kā sheva hai kisī par mehrbāñ kyuuñ ho
fana ban kar malal KHatir mahzun-e-'ayan kyun ho
koi ye bhi digar puchhe ki sargarm-e-fughan kyun ho
meri gardish ki ba'is rahti hai gardish zamana mein
rahun jab main na duniya mein to dur aasman kyun ho
na dil pahlu mein zaKHmi ho to ashkon mein lahu kaisa
jo sina mein na sozish ho to aahon mein dhuan kaisa
kisi ko kya gharaz furqat mein koi jaan bhi de de
taghaful jis ka shewa hai kisi par mehrban kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.