tarh-e-andaz ban kaun-o-makan tu hi tha
tarh-e-andāz ban kaun-o-makāñ tū hī thā
ḳhush-navā-e-harf-e-sākin fakāñ tū hī to thā
zamzama-e-sanj-e-navā-e-fadkHulū-hā kHāledīn
rañ-āmez chaman-zār-e-jināñ tū hī to thā
har gul-e-barg-e-shajar meñ rañg-o-bū ban kar basā
tū hī thā tū hī bahār-e-gulistāñ tū hī to thā
tauq-e-qumrī tū hī hai sarv-e-gulshan kī bahār
rañg-e-gul tū hī to thā bulbul kī fuġhāñ tū hī thā
mantar de kar tuur āñkhoñ kā baḌhānā tujhe
tuur par sūrat-kash barq-e-butāñ tū hī to thā
lailā-o-shīrīñ meñ gul-e-sham' meñ rakkhā jā kiyā
husn ban kar dil-fareb-e-’āshiqāñ tū hī to thā
nuuh kā juudī pe aur yūnus kā batan jot meñ
chaah meñ yūsuf kā yaaro mehrbāñ tū hī to thā
qum-bi-iznī aur anal-haq kahtī un kī kyā majāl
'shams' aur 'mansūr' ke muñh meñ zabāñ tū hī to thā
tarh-e-andaz ban kaun-o-makan tu hi tha
KHush-nawa-e-harf-e-sakin fakan tu hi to tha
zamzama-e-sanj-e-nawa-e-fadkHulu-ha kHaledin
ran-amez chaman-zar-e-jinan tu hi to tha
har gul-e-barg-e-shajar mein rang-o-bu ban kar basa
tu hi tha tu hi bahaar-e-gulistan tu hi to tha
tauq-e-qumri tu hi hai sarw-e-gulshan ki bahaar
rang-e-gul tu hi to tha bulbul ki fughan tu hi tha
mantar de kar tur aankhon ka baDhana tujhe
tur par surat-kash barq-e-butan tu hi to tha
laila-o-shirin mein gul-e-sham' mein rakkha ja kiya
husn ban kar dil-fareb-e-’ashiqan tu hi to tha
nuh ka judi pe aur yunus ka batan jot mein
chah mein yusuf ka yaro mehrban tu hi to tha
qum-bi-izni aur anal-haq kahti un ki kya majal
'shams' aur 'mansur' ke munh mein zaban tu hi to tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.