Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil lagi thi ki chal jaega jaega jadu apna

Unknown

dil lagi thi ki chal jaega jaega jadu apna

Unknown

MORE BYUnknown

    dil lagī thī ki chal jā.egā jā.egā jaadū apnā

    na to dil rahā aur na banā apnā

    pheñk deñge abhī chiir ke pahlū apnā

    tujh pe qaabū nahīñ dil par to hai qaabū apnā

    kah diyā nāma-bar se ho tum kis ḳhayāl meñ

    kyā tum bhī phañs ga.e gesū ke jaal meñ

    kyuuñ na liinī khabariyā hamārī re

    asar meñ kis liye Duube hue fariyād karte haiñ

    bhalā kab bhūlne vaale kise yaad karte haiñ

    patiyā na karūñ patiyāñ likhūñ syāhī rahe bides

    ban-ban phirūñ pukārtī bhar jogan bhes

    milnā kisī ḳhvāb meñ ho ḳhayāl meñ

    yā-rab magar asar ho mirī 'arz-e-hāl meñ

    āo-āo nagariyā hamārī re

    ġham-e-furqat meñ jiitā huuñ nasībe haar dete haiñ

    tarāne bulbuloñ ke fasl-e-gul meñ ḳhaar dete haiñ

    se papayyā re o piik milo patin.g

    bhor bha.ī ho bhañvar reñ kañval sañg

    māyūsiyāñ haiñ jab se ummīd-e-visāl meñ

    aape meñ dil hai aur na ham apne haal meñ

    piyā suulī sajariyā hamārī re

    jhapaktī haiñ āñkheñ 'ajab hālat hamārī hai

    bandī hai TikTikī dar se kisī intizārī hai

    dekh paayo sansār se jiyarā bhayo uchāT

    tarseñ añkhiyāñ mor yaañ takeñ tumhārī baaT

    sau shak karoge ik jabr-e-intiqāl meñ

    tum ḳhvāb meñ na aa.e kab aaoge ḳhayāl meñ

    kaahī chhoḌī Dagriyā hamārī re

    savāl-e-vasl rūThā huā jis vaqt mantā hai

    kabhī shīrīñ kabhī shakar javāb-e-talḳh bantā hai

    haath joḌe kāmanī bintī karat niDhāl

    uTh matvārī bāñvarī gul bach bhyā Daal

    kuchh kam nahīñ musabbih se bol chaal meñ

    haañ ki ke jaan Daal savāl-e-visāl meñ

    kabhī maano sa.variyā hamārī re

    na vo naale na vo shevan na vo raunaq hai mātam

    tabī'at aaj kuchh nā-sāz hai shāyad shab-e-ġham

    tan man nain jivrā nikat nikat ghabrā.e

    kaav ko thā das naar ho piiT piiT marā.e

    dete haiñ jaañ 'ishq-e-ruḳh-e-maha-jamāl meñ

    nuqsān jilau-gar hai hamāre kamāl meñ

    yuuñ ujḌe nagariyā hamārī re

    nahīñ mere ghar meñ ho kis guzar pahle

    ajal aa.e ki aa.e aa sake aane ḳhabar pahle

    nain more mad-bharī gaurī morī gaat

    joban berī phaTā paḌe kañTh na pūchhe baat

    dam hai na hāl-e-bulbul shorīda-hāl meñ

    kāñTe se paḌ ga.e haiñ zabān-e-savāl meñ

    biitī jaa.e 'umariyā hamārī re

    bahār aa.ī havā bhaa.ī uḌā gurda ruḳh-e-gul se

    Tapaktā naala rañgīn hai phir minqār-e-bulbul se

    horī khelo bālmā jāvat balihār

    chhateñ gaurī taak ke bhar pichkārī maar

    mil kar aḌe lahū mirā gard-e-malāl meñ

    rañg-e-shahāb chāhiye kuchh-kuchh gulāl meñ

    piyā rañg de chunariyā hamārī re

    bajā hotā hai gar jiine se bezār hotā hai

    qazā sāmnā 'nāzim' firāq-e-yār hotā hai

    parbhu bālam binā mogdhī na aavat chain

    tan-man meñ pāpan tajūñ taḌap taḌpe rain

    dil kañval bujhā na talāsh-e-muhāl meñ

    mumkin nahīñ visāl ummīd-e-visāl meñ

    kaise hogī basariyā hamārī re

    dil lagi thi ki chal jaega jaega jadu apna

    na to dil ya raha aur na bana tu apna

    phenk denge abhi chir ke pahlu apna

    tujh pe qabu nahin dil par to hai qabu apna

    kah diya nama-bar se ho tum kis KHayal mein

    kya tum bhi phans gae gesu ke jal mein

    kyun na lini khabariya hamari re

    asar mein kis liye Dube hue fariyaad karte hain

    bhala kab bhulne wale kise yaad karte hain

    patiya na karun patiyan likhun syahi rahe bides

    ban-ban phirun pukarti bhar jogan ka bhes

    milna kisi ka KHwab mein ho ya KHayal mein

    ya-rab magar asar ho meri 'arz-e-haal mein

    aao-ao nagariya hamari re

    gham-e-furqat mein jita hun nasibe haar dete hain

    tarane bulbulon ke fasl-e-gul mein KHar dete hain

    pi se papayya re o pik milo pating

    bhor bhai ho bhanwar ki ren kanwal ki sang

    mayusiyan hain jab se ummid-e-visal mein

    aape mein dil hai aur na hum apne haal mein

    piya suli sajariya hamari re

    jhapakti hain aankhen 'ajab haalat hamari hai

    bandi hai TikTiki dar se kisi ki intizari hai

    dekh payo sansar se jiyara bhayo uchaT

    tarsen ankhiyan mor yan taken tumhaari baT

    sau shak karoge ek jabr-e-intiqal mein

    tum KHwab mein na aae kab aaoge KHayal mein

    kahi chhoDi Dagriya hamari re

    sawal-e-wasl ka ruTha hua jis waqt manta hai

    kabhi shirin kabhi shakar jawab-e-talKH banta hai

    hath joDe kaamani binti karat niDhaal

    uTh matwari banwari gul bach bhya Dal

    kuchh kam nahin musabbih se tu bol chaal mein

    han ki ke jaan Dal sawal-e-visal mein

    kabhi mano sawariya hamari re

    na wo nale na wo shewan na wo raunaq hai matam ki

    tabi'at aaj kuchh na-saz hai shayad shab-e-gham ki

    tan man nain jiwra nikat nikat ghabrae

    kaw ko tha das nar ho piT piT marae

    dete hain jaan 'ishq-e-ruKH-e-maha-jamal mein

    nuqsan jilau-gar hai hamare kamal mein

    yun hi ujDe nagariya hamari re

    nahin mere ghar mein ho kis ka guzar pahle

    ajal aae ki aae aa sake aane ki KHabar pahle

    nain more mad-bhari gauri mori gat

    joban beri phaTa paDe kanTh na puchhe baat

    dam hai na haal-e-bulbul shorida-haal mein

    kanTe se paD gae hain zaban-e-sawal mein

    biti jae 'umariya hamari re

    bahaar aai hawa bhai uDa gurda ruKH-e-gul se

    Tapakta nala rangin hai phir minqar-e-bulbul se

    hori khelo baalma jawat ji balihaar

    chhaten gauri tak ke bhar pichkari mar

    mil kar aDe lahu mera gard-e-malal mein

    rang-e-shahab chahiye kuchh-kuchh gulal mein

    piya rang de chunariya hamari re

    baja hota hai gar jine se ji bezar hota hai

    qaza ka samna 'nazim' firaq-e-yar hota hai

    parbhu baalam bina mogdhi na aawat chain

    tan-man mein papan tajun taDap taDpe rain

    dil ka kanwal bujha na talash-e-muhaal mein

    mumkin nahin visal ummid-e-visal mein

    kaise hogi basariya hamari re

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now