kal hazare mein nazar ek gul-badan jo aa gaya
kal hazāre meñ nazar ek gul-badan jo aa gayā
haath malmal maiñ rahā dil phuul sā kumhlā gayā
haiñ sukh miltā nahīñ mujh ko us se qasam
jaise to hālat chikan-paT aañ kar dikhlā gayā
ḳhvāhish ab mujh ko nahīñ hai shīrīnī tere lab kī
jāma-e-'uryāñ hamāre dil ko aisā bhā gayā
maare ġhussa ke bhaveñ simTī huī haiñ yaar kī
dauḌtā taare liye jo sāmne se aa gayā
raat bhar dhoyā kiyā dariyā-e-mai meñ haath ko
shak zarā sī chhīñT kā jo mere dil meñ aa gayā
aaj aate haiñ vo kyā merī nazar kam-ḳhvāb meñ
yaar kī jāloñ kī āñkheñ koī kyā bhā gayā
tuul denā thā nahīñ az bad nazar ko ai ‘sihāb’
itne hī kapḌoñ meñ dil to ab uktā gayā
kal hazare mein nazar ek gul-badan jo aa gaya
hath malmal main raha dil phul sa kumhla gaya
hain sukh milta nahin mujh ko us se qasam
jaise to haalat chikan-paT aan kar dikhla gaya
KHwahish ab mujh ko nahin hai shirini tere lab ki
jama-e-'uryan hamare dil ko aisa bha gaya
mare ghussa ke bhawen simTi hui hain yar ki
dauDta tare liye jo samne se aa gaya
raat bhar dhoya kiya dariya-e-mai mein hath ko
shak zara si chhinT ka jo mere dil mein aa gaya
aaj aate hain wo kya meri nazar kam-KHwab mein
yar ki jalon ki aankhen koi kya bha gaya
tul dena tha nahin az bad nazar ko ai ‘sihab’
itne hi kapDon mein dil to ab ukta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.