Font by Mehr Nastaliq Web

ishq sanam se ho gaya uske asar kya kahun

Unknown

ishq sanam se ho gaya uske asar kya kahun

Unknown

MORE BYUnknown

    'ishq sanam se ho gayā us ke asar kyā kahūñ

    banda huuñ terā ai ḳhudā husn-e-bashar ko kyā kahūñ

    dair-o-haram meñ raushnī shams-o-qamar se hai to kyā

    mujh ko to tum pasand ho dard-e-jigar ko kyā kahūñ

    pahlū se uTh ga.e haiñ vo dil merā māntā nahīñ

    sabr-o-qarār kaise ho dard-e-jigar kyā kahūñ

    qāsid laayā kyā ḳhabar jab maiñ jahāñ se uTh gayā

    laayā ḳhabar to kyā ḳhabar aisī ḳhabar ko kyā kahūñ

    vā'da-e-vasl kar ke aap jaate ho jā.iye magar

    ye to batlā.īye bhalā dard-e-jigar ko kyā kahūñ

    saare jahāñ ke ḳhūb-rū terī qasam tere sivā

    mujh ko nahīñ koī pasand apnī nazar ko kyā kahūñ

    sāqī-e-husn-e-māh-rū jaam vo sab ko de diyā

    vasl vā'da abhī vaqt-e-sahar ko kyā kahūñ

    'ishq sanam se ho gaya us ke asar kya kahun

    banda hun tera ai KHuda husn-e-bashar ko kya kahun

    dair-o-haram mein raushni shams-o-qamar se hai to kya

    mujh ko to tum pasand ho dard-e-jigar ko kya kahun

    pahlu se uTh gae hain wo dil mera manta nahin

    sabr-o-qarar kaise ho dard-e-jigar kya kahun

    qasid laya kya KHabar jab main jahan se uTh gaya

    laya KHabar to kya KHabar aisi KHabar ko kya kahun

    wa'da-e-wasl kar ke aap jate ho jaiye magar

    ye to batlaiye bhala dard-e-jigar ko kya kahun

    sare jahan ke KHub-ru teri qasam tere siwa

    mujh ko nahin koi pasand apni nazar ko kya kahun

    saqi-e-husn-e-mah-ru jam wo sab ko de diya

    wasl ka wa'da abhi waqt-e-sahar ko kya kahun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now