chhoD kar hindostan mulk-e-arab jate hain hum
chhoḌ kar hindostāñ mulk-e-'arab jaate haiñ ham
jā mareñge un ke dar par jin ke kahlāte haiñ ham
garche jaate haiñ dilerāna va-lekin dosto
apnī mahrūmī se jī hī jī meñ ghabrāte haiñ ham
ham se mastī meñ sharā.it haj ke kab hoñge adā
go du'ā ke badle mastāna ġhazal gaate haiñ ham
furqat-e-taiba meñ ye miskīn ġhizā Thahre merī
rāt-o-din ab luqma-e-andoh-o-ġham khāte haiñ ham
chhoD kar hindostan mulk-e-'arab jate hain hum
ja marenge un ke dar par jin ke kahlate hain hum
garche jate hain dilerana wa-lekin dosto
apni mahrumi se ji hi ji mein ghabraate hain hum
hum se masti mein sharait haj ke kab honge ada
go du'a ke badle mastana ghazal gate hain hum
furqat-e-taiba mein ye miskin ghiza Thahre meri
raat-o-din ab luqma-e-andoh-o-gham khate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.