phire zamane mein chaar jaanib nigar yakta tumhin ko dekha
phire zamāne meñ chaar jānib nigār yaktā tumhīñ ko dekhā
hasīn dekhā jamīl dekhā va-lek tum sā tumhīñ ko dekhā
agarche is gulshan-e-jahāñ meñ hazāroñ gul haiñ ba-rañg-e-dīgar
vale ba-kHushbū-e-rūh-parvar sadā mahaktā tumhīñ ko dekhā
falak haiñ mehr-o-māh raushan zamīñ pe haiñ shāhidān-e-pur-fan
magar ba-nāz-o-adā-e-shīrīñ 'azīz dil-hā tumhīñ ko dekhā
habīb-e-mahbūb-e-ḳhās-e-yazdāñ jamīl-e-maqbūl-e-faḳhr-e-ḳhūbāñ
vo jin ko kahte haiñ jān-e-jānāñ ḳhudā kā pyārā tumhīñ ko dekhā
zamīñ pe ajsām jin ke maftūñ falak pe ajrām jin ke shaidā
bashar is andāz is adā kā tumhīñ ko dekhā tumhīñ ko dekhā
phire zamane mein chaar jaanib nigar yakta tumhin ko dekha
hasin dekha jamil dekha wa-lek tum sa tumhin ko dekha
agarche is gulshan-e-jahan mein hazaron gul hain ba-rang-e-digar
wale ba-kHushbu-e-ruh-parwar sada mahakta tumhin ko dekha
falak hain mehr-o-mah raushan zamin pe hain shahidan-e-pur-fan
magar ba-naz-o-ada-e-shirin 'aziz dil-ha tumhin ko dekha
habib-e-mahbub-e-KHas-e-yazdan jamil-e-maqbul-e-faKHr-e-KHuban
wo jin ko kahte hain jaan-e-jaanan KHuda ka pyara tumhin ko dekha
zamin pe ajsam jin ke maftun falak pe ajram jin ke shaida
bashar is andaz is ada ka tumhin ko dekha tumhin ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.