kahan jaen tere bande pata paen kahan tera
kahāñ jaa.eñ tire bande patā paa.eñ kahāñ terā
talāsh-o-justujū se kuchh nahīñ miltā nishāñ terā
mirī āñkhoñ ne dekhā ho tirā jalva to haiñ kāfir
yahī dil tujh se vāqif hai yahī hai rāz-dāñ terā
shikasta dil ko maiñ apnī nihāyat dost rakhtā huuñ
sunā hai jab se ye TuuTā huā dil hai makāñ terā
barābar hukm jaarī hai terā duniyā meñ 'uqbā meñ
ki haiñ donoñ jahāñ tere yahāñ terā vahāñ terā
ḳhayāl-o-vahm kā tujh tak guzar ho ġhair mumkin hai
jise kahte haiñ sab 'arsh-e-barīñ hai āstāñ terā
qadam sābit rahe rāh-e-vafā meñ saḳht mushkil hai
farishtoñ ko Darā detā hai yā rab imtihāñ terā
haqīqat se nahīñ āgāh yuuñ kahne ko 'ārif huuñ
kahāñ ye martaba merā ki maiñ huuñ rāz-dāñ terā
kahan jaen tere bande pata paen kahan tera
talash-o-justuju se kuchh nahin milta nishan tera
meri aankhon ne dekha ho tera jalwa to hain kafir
yahi dil tujh se waqif hai yahi hai raaz-dan tera
shikasta dil ko main apni nihayat dost rakhta hun
suna hai jab se ye TuTa hua dil hai makan tera
barabar hukm jari hai tera duniya mein 'uqba mein
ki hain donon jahan tere yahan tera wahan tera
KHayal-o-wahm ka tujh tak guzar ho ghair mumkin hai
jise kahte hain sab 'arsh-e-barin hai aastan tera
qadam sabit rahe rah-e-wafa mein saKHt mushkil hai
farishton ko Dara deta hai ya rab imtihan tera
haqiqat se nahin aagah yun kahne ko 'arif hun
kahan ye martaba mera ki main hun raaz-dan tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.