diwana-e-pari hun na shaida hun hur ka
dīvāna-e-parī huuñ na shaidā huuñ huur kā
parvāna huuñ maiñ sham'-e-tajallī-e-tūr kā
jalva har ek zarre meñ hai tere nuur kā
fānūs-e-chashm parda banā sham'-e-tūr kā
rindān-e-bāda-kHvār se zāhid na bahs kar
dā'va hai ham ko un ke karam ke vufūr kā
thāme thame na roke se us ke taḌap kī
kyā kahiye haal apne dil-e-nā-subūr kā
karnā paḌā hai mujh ko qayāmat kā intizār
vā'da kī shab 'azāb hai roz-e-nushūr kā
allāh re terī banda-navāzī se duur kyā
jhuk jaa.e sar hamāre but-e-pur ġhurūr kā
be-parda un ke husn kī kis ko hai tāb-e-dīd
'shākir' muqir huuñ apnī nazar ke qusūr kā
diwana-e-pari hun na shaida hun hur ka
parwana hun main sham'-e-tajalli-e-tur ka
jalwa har ek zarre mein hai tere nur ka
fanus-e-chashm parda bana sham'-e-tur ka
rindan-e-baada-kHwar se zahid na bahs kar
da'wa hai hum ko un ke karam ke wufur ka
thame thame na roke se us ke taDap ki
kya kahiye haal apne dil-e-na-subur ka
karna paDa hai mujh ko qayamat ka intizar
wa'da ki shab 'azab hai roz-e-nushur ka
allah re teri banda-nawazi se dur kya
jhuk jae sar hamare but-e-pur ghurur ka
be-parda un ke husn ki kis ko hai tab-e-did
'shakir' muqir hun apni nazar ke qusur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.