Font by Mehr Nastaliq Web

sambhaalo dil mohabbat mein to aisa ho hi jata hai

Unknown

sambhaalo dil mohabbat mein to aisa ho hi jata hai

Unknown

MORE BYUnknown

    sambhālo dil mohabbat meñ to aisā ho jaatā hai

    jigar bekalī se dard paidā ho jaatā hai

    raqībo rashk kyā karte ho gar us ko mohabbat hai

    jise dil pyaar kartā hai vo apnā ho jaatā hai

    chaman meñ jab kabhī maiñ bhuul kar nikaltā huuñ

    merā dil pyaar kartā hai vo apnā ho jaatā hai

    dikhā.ī kuchh nahīñ detā 'ajab andher chhāyā hai

    chaḌhā jin 'ishq sar jis ke andhā ho jaatā hai

    butoñ sohbat-o-kHidmat se āḳhir kyā natīja hai

    sola sake ki sañg apnā bhī siina ho jaatā hai

    nikal jaate haiñ bal-dāroñ ke sab bal 'ishq to hai

    jo huuñ is shikanja meñ vo sīdhā ho jaatā hai

    tumhārī zulf phandā hamārā ek dushman hai

    ki dil phañste hālat jaan levā ho jaatā hai

    hasīnoñ ko ḳhudā jab husn detā hai man-mānā

    to un ko chāhne vāloñ se ġhamza ho jaatā hai

    'adū ne dam na maarā sunte ye haal poshīda

    ki ghar par is sanam ke roz sharmā ho hai

    sambhaalo dil mohabbat mein to aisa ho hi jata hai

    jigar ki bekali se dard paida ho hi jata hai

    raqibo rashk kya karte ho gar us ko mohabbat hai

    jise dil pyar karta hai wo apna ho hi jata hai

    chaman mein jab kabhi main bhul kar ja nikalta hun

    mera dil pyar karta hai wo apna ho hi jata hai

    dikhai kuchh nahin deta 'ajab andher chhaya hai

    chaDha jin 'ishq ka sar jis ke andha ho hi jata hai

    buton ki sohbat-o-kHidmat se aaKHir kya natija hai

    sola sake ki sang apna bhi sina ho hi jata hai

    nikal jate hain bal-daron ke sab bal 'ishq hi to hai

    jo hun is shikanja mein wo sidha ho hi jata hai

    tumhaari zulf ka phanda hamara ek dushman hai

    ki dil phanste hi haalat jaan ka lewa ho hi jata hai

    hasinon ko KHuda jab husn deta hai man-mana

    to un ko chahne walon se ghamza ho hi jata hai

    'adu ne dam na mara sunte hi ye haal poshida

    ki ghar par is sanam ke roz sharma ho hi hi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now