ba-hamdillah khula hai nat-goi mein dahan apna
ba-hamdillāh khulā hai nā't-goī meñ dahan apnā
bhalā kyuuñ kar na maqbūl-e-ḳhudā ho har suḳhan apnā
maiñ misl-e-’andalīb-e-zār likhtā dāstān-e-’ishq
nazar aatā jo bāġh-e-dahr meñ ġhuncha-dahan apnā
riyāz-e-nā’t-e-ahmad meñ yahī naġhma-e-bulbul
rahe sarsabz yād-e-gul meñ yā-rab ye chaman apnā
nihāl-e-ārzū apnā ilāhī ye samar laa.e
kare gul-gasht bāġh-e-dil meñ ho gul pairahan apnā
nazākat us gul-e-ḳhūbī meñ ye allāh ne dī hai
vufūr-e-sharm se chehra chhupā le yāsman apnā
gulāb-o-ketakī kevḌā gul-e-nargis bhī qurbāñ ho
tasadduq jān-o-dil kyuuñ kar na kar de nastaran apnā
ziyārat ḳhvāb hī meñ ho jo hāsil aap kī shāhā
mile qadmoñ se muñh jā kar ye 'yūsuf'-e-kHasta-tan apnā
ba-hamdillah khula hai na't-goi mein dahan apna
bhala kyun kar na maqbul-e-KHuda ho har suKHan apna
main misl-e-’andalib-e-zar likhta dastan-e-’ishq
nazar aata jo bagh-e-dahr mein ghuncha-dahan apna
riyaz-e-na’t-e-ahmad mein yahi naghma-e-bulbul
rahe sarsabz yaad-e-gul mein ya-rab ye chaman apna
nihaal-e-arzu apna ilahi ye samar lae
kare gul-gasht bagh-e-dil mein ho gul pairahan apna
nazakat us gul-e-KHubi mein ye allah ne di hai
wufur-e-sharm se chehra chhupa le yasman apna
gulab-o-ketaki kewDa gul-e-nargis bhi qurban ho
tasadduq jaan-o-dil kyun kar na kar de nastaran apna
ziyarat KHwab hi mein ho jo hasil aap ki shaha
mile qadmon se munh ja kar ye 'yusuf'-e-kHasta-tan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.