ma-siwa-e-umr-e-do-roza yahan kuchh bhi nahin
mā-sivā-e-'umr-e-do-roza yahāñ kuchh bhī nahīñ
ye tuzk ye sāz-o-sāmāñ mehrbāñ kuchh bhī nahīñ
kaise kaise nām-āvar ho ga.e ġharq-e-fanā
naam hī baaqī haiñ un ke aur nishāñ kuchh bhī nahīñ
hai ye duniyā chand roza zindagī misl-e-habāb
kis gumāñ meñ haiñ yahāñ pī-o-javāñ kuchh bhī nahīñ
mil ga.e jamshed-o-kekāvas daarā ḳhaak meñ
vo jalālat vo hasham vo ’izz-o-shāñ kuchh bhī nahīñ
'ālam-e-asbāb se hāsil nahīñ kuchh juz kafan
māl-o-zar meñ hissa-e-ahl-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ
pal jhapakne meñ fanā hoñge zamīn-o-āsmāñ
ek din ai ġhāfilo hogā yahāñ kuchh bhī nahīñ
shokat-o-shān-o-shikva-o-hashmat-o-’izz-o-vaqār
zindagī tak haiñ ye sab phir mehrbāñ kuchh bhī nahīñ
hai tū nāzāñ chand roza zindagānī par 'abas
ho fanā jis ko 'zuhūr' us par gumāñ kuchh bhī nahīñ
ma-siwa-e-'umr-e-do-roza yahan kuchh bhi nahin
ye tuzk ye saz-o-saman mehrban kuchh bhi nahin
kaise kaise nam-awar ho gae gharq-e-fana
nam hi baqi hain un ke aur nishan kuchh bhi nahin
hai ye duniya chand roza zindagi misl-e-habab
kis guman mein hain yahan pi-o-jawan kuchh bhi nahin
mil gae jamshed-o-kekawas dara KHak mein
wo jalalat wo hasham wo ’izz-o-shan kuchh bhi nahin
'alam-e-asbab se hasil nahin kuchh juz kafan
mal-o-zar mein hissa-e-ahl-e-jahan kuchh bhi nahin
pal jhapakne mein fana honge zamin-o-asman
ek din ai ghafilo hoga yahan kuchh bhi nahin
shokat-o-shan-o-shikwa-o-hashmat-o-’izz-o-waqar
zindagi tak hain ye sab phir mehrban kuchh bhi nahin
hai tu nazan chand roza zindagani par 'abas
ho fana jis ko 'zuhur' us par guman kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.