tu ne but-e-harjai kuchh aisi ada pai
tū ne but-e-harjā.ī kuchh aisī adā paa.ī
taktā hai tirī sūrat har ek tamāshā.ī
pahle se na sochā thā anjām mohabbat kā
tab hosh meñ aa.e haiñ jab jaan pe ban aa.ī
jī bhar gayā duniyā se ab dil meñ ye hasrat hai
maiñ huuñ yā terā jalva aur gosha-e-tanhā.ī
tā’noñ se hai dil zaḳhmī zaḳhmoñ se jigar ḳhuuñ hai
lo dil ke lagāne kī ham ne ye sazā paa.ī
muddat se 'amīr' un se milne kī tamannā thī
aaj us ne bulāyā hai lene ko qazā aa.ī
tu ne but-e-harjai kuchh aisi ada pai
takta hai teri surat har ek tamashai
pahle se na socha tha anjam mohabbat ka
tab hosh mein aae hain jab jaan pe ban aai
ji bhar gaya duniya se ab dil mein ye hasrat hai
main hun ya tera jalwa aur gosha-e-tanhai
ta’non se hai dil zaKHmi zaKHmon se jigar KHun hai
lo dil ke lagane ki hum ne ye saza pai
muddat se 'amir' un se milne ki tamanna thi
aaj us ne bulaya hai lene ko qaza aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.