diya hota kisi ko dil to hoti qadr bhi dil ki
diyā hotā kisī ko dil to hotī qadr bhī dil kī
haqīqat pochhiye jā kar kisī bismil se bismil kī
faroġh-e-husn-e-jānāñ se baḌhī zīnat jo mahfil kī
tajallī dast-e-hasrat mil rahī thī māh-e-kāmil kī
patiñgoñ kī tarah uḌne lagīñ chiñgāriyāñ dil kī
ḳhudā jaane kahāñ le jā.egī vahshat mere dil kī
maiñ ḳhud gum-karda manzil huuñ ḳhabar kyā mujh ko manzil kī
na niklī hai na niklegī kabhī hasrat mere dil kī
sahar hone ko hai fariyād hai ye sham'-e-mahfil kī
ilāhī jalne vāloñ ke to dil meñ rah ga.ī dil kī
hifāzat apne imkāñ tak to maiñ ne ḳhuub kī dil kī
rakhī barsoñ talak jaisī bhī thī achchhī barī dil kī
magar afsos kaisī aa ga.ī bad-qismatī dil kī
huī bhī to huī kis be-vafā se dil lagī dil kī
milā kar ḳhaak meñ jis ne ḳhabar tak bhī na lī dil kī
kahāñ se lā.ūñ vo dil vo kalejā vo zabāñ bedam
jo us ujḌe hue dil kā kahūñ afsāna-e-pur-ġham
kabhī ābādiyāñ thiiñ us meñ ab to hū kā hai 'ālam
adā-o-nāz chashm-e-shokHī aur gesu-e-pur-ḳham
unhīñ ġhārat-garoñ ne mil ke bastī luuT lī dil kī
diya hota kisi ko dil to hoti qadr bhi dil ki
haqiqat pochhiye ja kar kisi bismil se bismil ki
farogh-e-husn-e-jaanan se baDhi zinat jo mahfil ki
tajalli dast-e-hasrat mil rahi thi mah-e-kaamil ki
patingon ki tarah uDne lagin chingariyan dil ki
KHuda jaane kahan le jaegi wahshat mere dil ki
main KHud gum-karda manzil hun KHabar kya mujh ko manzil ki
na nikli hai na niklegi kabhi hasrat mere dil ki
sahar hone ko hai fariyaad hai ye sham'-e-mahfil ki
ilahi jalne walon ke to dil mein rah gai dil ki
hifazat apne imkan tak to main ne KHub ki dil ki
rakhi barson talak jaisi bhi thi achchhi bari dil ki
magar afsos kaisi aa gai bad-qismati dil ki
hui bhi to hui kis be-wafa se dil lagi dil ki
mila kar KHak mein jis ne KHabar tak bhi na li dil ki
kahan se laun wo dil wo kaleja wo zaban bedam
jo us ujDe hue dil ka kahun afsana-e-pur-gham
kabhi aabaadiyan thin us mein ab to hu ka hai 'alam
ada-o-naz chashm-e-shokHi aur gesu-e-pur-KHam
unhin ghaarat-garon ne mil ke basti luT li dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.