apni tajalliyon mein wo aise nihan rahe
apnī tajalliyoñ meñ vo aise nihāñ rahe
dil meñ bhī mere rah ke na jaane kahāñ rahe
āñkhoñ meñ nuur jism meñ ban kar vo jaañ rahe
yā'nī hamī meñ rah ke vo ham se nihāñ rahe
vo aur hamāre paas ḳhudā-dād baat thī
ham muddatoñ ḳhudā kī qasam bad-gumāñ rahe
sūraj ke sāmne kahāñ shabnam ko hai qarār
ham-pās tum jo aa.e to phir ham kahāñ rahe
tauhīn-e-husn-o-'ishq hai tafrīq-e-husn-o-'ishq
hai jab maza ki farq na kuchh darmiyāñ rahe
kyā aañkh uThā ke jalva-e-qudrat ko dekhte
'kaukab' fareb-kHurda-e-chashm-e-butāñ rahe
apni tajalliyon mein wo aise nihan rahe
dil mein bhi mere rah ke na jaane kahan rahe
aankhon mein nur jism mein ban kar wo jaan rahe
ya'ni hami mein rah ke wo hum se nihan rahe
wo aur hamare pas KHuda-dad baat thi
hum muddaton KHuda ki qasam bad-guman rahe
suraj ke samne kahan shabnam ko hai qarar
ham-pas tum jo aae to phir hum kahan rahe
tauhin-e-husn-o-'ishq hai tafriq-e-husn-o-'ishq
hai jab maza ki farq na kuchh darmiyan rahe
kya aankh uTha ke jalwa-e-qudrat ko dekhte
'kaukab' fareb-kHurda-e-chashm-e-butan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.