un ka hi tasawwur hai mahfil ho ya tanhai
un kā hī tasavvur hai mahfil ho yā tanhā.ī
na jaane mujhe un kī kyā baat pasand aa.ī
pahle se na sochā thā anjām mohabbat kā
ab hosh meñ aa.e ho jab jaan pe ban aa.ī
bas ek hī jalve meñ ham ho ga.e shaidā.ī
jī bhar ke nahīñ dekhā hone lagī thī rusvā.ī
us dar kī hāzirī ke qābil to nahīñ thā maiñ
ye terī mohabbat thī jo khīñch ke le aa.ī
karnā hai hayā kab tak ai parda-nashīñ kar le
mahshar meñ dekheñge tujhe tere shaidā.ī
milne kī 'amīr' un se muddat se tamannā thī
aaj us ne bulāyā hai lene ko qazā aa.ī
un ka hi tasawwur hai mahfil ho ya tanhai
na jaane mujhe un ki kya baat pasand aai
pahle se na socha tha anjam mohabbat ka
ab hosh mein aae ho jab jaan pe ban aai
bas ek hi jalwe mein hum ho gae shaidai
ji bhar ke nahin dekha hone lagi thi ruswai
us dar ki haziri ke qabil to nahin tha main
ye teri mohabbat thi jo khinch ke le aai
karna hai haya kab tak ai parda-nashin kar le
mahshar mein dekhenge tujhe tere shaidai
milne ki 'amir' un se muddat se tamanna thi
aaj us ne bulaya hai lene ko qaza aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.