phire zamana mein chaar jaanib nigar-e-yakta tum hi ko dekha
phire zamāna meñ chaar jānib nigār-e-yaktā tum hī ko dekhā
hasīn dekhe jamīl dekhe va-lek tum sā tum hī ko dekhā
agarche is gulshan-e-jahāñ meñ hazāroñ gul haiñ ba-rañg-e-dīgar
dile ba-kHushbū-e-rūh-parvar sadā mahaktā tum hī ko dekhā
falak pe haiñ mehr-o-māh raushan zamīñ pe haiñ shāhidān-e-pur-fan
magar batā zū-adā-e-shīrīñ ’azīz-e-dilhā tum hī ko dekhā
habīb-e-mahbūb-e-ḳhās-e-yazdāñ jamīl-e-maqbūl-e-faḳhr-e-ḳhūbāñ
vo jin ko kahte haiñ jān-e-jānāñ ḳhudā kā pyārā tum hī ko dekhā
zamīñ pe ajsām jin ke 'maftūñ' falak pe ajrām jin ke shaidā
bashar is andāz-o-adā kā tum hī ko dekhā tum hī ko dekhā
phire zamana mein chaar jaanib nigar-e-yakta tum hi ko dekha
hasin dekhe jamil dekhe wa-lek tum sa tum hi ko dekha
agarche is gulshan-e-jahan mein hazaron gul hain ba-rang-e-digar
dile ba-kHushbu-e-ruh-parwar sada mahakta tum hi ko dekha
falak pe hain mehr-o-mah raushan zamin pe hain shahidan-e-pur-fan
magar bata zu-ada-e-shirin ’aziz-e-dilha tum hi ko dekha
habib-e-mahbub-e-KHas-e-yazdan jamil-e-maqbul-e-faKHr-e-KHuban
wo jin ko kahte hain jaan-e-jaanan KHuda ka pyara tum hi ko dekha
zamin pe ajsam jin ke 'maftun' falak pe ajram jin ke shaida
bashar is andaz-o-ada ka tum hi ko dekha tum hi ko dekha
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.