Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jis din se mere yar ne jalwa dikha diya

Unknown

jis din se mere yar ne jalwa dikha diya

Unknown

MORE BYUnknown

    jis din se mere yaar ne jalva dikhā diyā

    us din se mere hosh Thikāne lagā diyā

    ham ko tumhāre 'ishq ne kyā kyā banā diyā

    jab kuchh na ban sake to tamāshā banā diyā

    ab tum mere bano na bano iḳhtiyār hai

    taqdīr ne mujhe to tumhārā banā diyā

    faiz-e-nigāh-e-ġhasvī ehsānmand huuñ

    nāchīz ek bande ko kyā kyā banā diyā

    naqsh-e-qadam jahāñ bhī mile sahvī ke mujhe

    kā'ba samajh ke maiñ ne jabīñ ko jhukā diyā

    hai be-shumār but mere qalb-o-siyāh meñ

    un nigāh-e-nāz ne kā'ba banā diyā

    'iz.hār' un se apnī tabāhī kyā gila

    qudrat khel hai ki bigāḌā banā diyā

    taqdīr ne falak ne musībat meñ aah ne

    jis jis ne chāhā merā tamāshā banā diyā

    jis din se mere yar ne jalwa dikha diya

    us din se mere hosh Thikane laga diya

    hum ko tumhaare 'ishq ne kya kya bana diya

    jab kuchh na ban sake to tamasha bana diya

    ab tum mere bano ya na bano iKHtiyar hai

    taqdir ne mujhe to tumhaara bana diya

    faiz-e-nigah-e-ghaswi ka ehsanmand hun

    nachiz ek bande ko kya kya bana diya

    naqsh-e-qadam jahan bhi mile sahwi ke mujhe

    ka'ba samajh ke main ne jabin ko jhuka diya

    hai be-shumar but mere qalb-o-siyah mein

    un ki nigah-e-naz ne ka'ba bana diya

    'izhaar' un se apni tabahi ka kya gila

    qudrat ka khel hai ki bigaDa bana diya

    taqdir ne falak ne musibat mein aah ne

    jis jis ne chaha mera tamasha bana diya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Aziz Khan

    Mohammad Aziz Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now