KHud apni jalwa-e-hasti ka mubtala hun main
ḳhud apnī jalva-e-hastī kā mubtalā huuñ maiñ
na mudda'ī huuñ kisī kā na mudda'ā huuñ maiñ
mujhī ko dekh le ab tere dekhne vaale
tū ā.īnā hai merā terā ā.īnā huuñ maiñ
junūn-e-'ishq kī nairañgiyāñ are tauba
kabhī ḳhudā huuñ kabhī banda-e-ḳhudā huuñ maiñ
tajallī-e-yār kī tasvīr phek kar dil meñ
tasavvurāt kī duniyā basā rahā huuñ maiñ
KHud apni jalwa-e-hasti ka mubtala hun main
na mudda'i hun kisi ka na mudda'a hun main
mujhi ko dekh le ab tere dekhne wale
tu aaina hai mera tera aaina hun main
junun-e-'ishq ki nairangiyan are tauba
kabhi KHuda hun kabhi banda-e-KHuda hun main
tajalli-e-yar ki taswir phek kar dil mein
tasawwuraat ki duniya basa raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.