Khaali ho jo surahi khanakti zarur hai
ḳhālī ho jo surāhī khanaktī zarūr hai
kam-zarf kī sharāb chhalaktī zarūr hai
achchhā samajh rahe vo bīmār-e-ġham kā haal
bujhne se pahle sham' bhaḌaktī zarūr hai
gesū meñ apne ruḳh ko chhapāne se fā.eda
bijlī jo bādaloñ meñ chamaktī zarūr hai
bismil kī aañkh sūrat-e-qātil ko ek baar
hasrat se qatl-gāh meñ taktī zarūr hai
dariyā kī maujeñ jab bhī Dubotī hai koī naav
sāhil pe apne sar ko paTaktī zarūr hai
gulshan meñ ho hī jaatī hai gul-chī ko bhī ḳhabar
khiltī hai jab kalī to mahaktī zarūr hai
ab māneñ yā na māneñ ye marzī hai aap kī
'farhat' kī baat dil meñ khaTaktī zarūr hai
KHali ho jo surahi khanakti zarur hai
kam-zarf ki sharab chhalakti zarur hai
achchha samajh rahe wo bimar-e-gham ka haal
bujhne se pahle sham' bhaDakti zarur hai
gesu mein apne ruKH ko chhapane se faeda
bijli jo baadalon mein chamakti zarur hai
bismil ki aankh surat-e-qatil ko ek bar
hasrat se qatl-gah mein takti zarur hai
dariya ki maujen jab bhi Duboti hai koi naw
sahil pe apne sar ko paTakti zarur hai
gulshan mein ho hi jati hai gul-chi ko bhi KHabar
khilti hai jab kali to mahakti zarur hai
ab manen ya na manen ye marzi hai aap ki
'farhat' ki baat dil mein khaTakti zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.