main parda hun to tera raaz aashakar nahin
maiñ parda huuñ to terā raaz āshakār nahīñ
jo parda-dar hoñ to phir koī parda-dār nahīñ
koī bhī dekhne vāloñ meñ hoshiyār nahīñ
nigāh ek hai jalvoñ kā kuchh shumār nahīñ
ye kah ke mujh ko liye jā rahā hai shauq-e-vujūd
ki aaj sar nahīñ yā āstān-e-yār nahīñ
ghaTā hai barq hai saaqī hai may hai yaar nahīñ
bahār to hai magar hāsil-e-bahār nahīñ
kabhī ḳhayāl kī had meñ thā yaar kā jalva
ki ab hai jalva hī jalva ḳhayāl-e-yār nahīñ
vo koh-e-tūr ho yā sarzamīn-e-dil 'bedam'
jamāl-e-yār se ḳhālī koī dayār nahīñ
main parda hun to tera raaz aashakar nahin
jo parda-dar hon to phir koi parda-dar nahin
koi bhi dekhne walon mein hoshiyar nahin
nigah ek hai jalwon ka kuchh shumar nahin
ye kah ke mujh ko liye ja raha hai shauq-e-wujud
ki aaj sar nahin ya aastan-e-yar nahin
ghaTa hai barq hai saqi hai may hai yar nahin
bahaar to hai magar hasil-e-bahaar nahin
kabhi KHayal ki had mein tha yar ka jalwa
ki ab hai jalwa hi jalwa KHayal-e-yar nahin
wo koh-e-tur ho ya sarzamin-e-dil 'bedam'
jamal-e-yar se KHali koi dayar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.