Sufinama

der se hum dar-e-daulat pe sada dete hain

Unknown

der se hum dar-e-daulat pe sada dete hain

Unknown

MORE BYUnknown

    der se ham dar-e-daulat pe sadā dete haiñ

    aaj dekheñ mire ḳhvāja mujhe kyā dete haiñ

    bhuul jaatā hai jo kaliyar tire raah koī

    hazrat-e-ganj-e-shakar aa ke batā dete haiñ

    na sahī baḳht meñ kuchh mere magar sābir

    aap bigḌī huī taqdīr banā dete haiñ

    chuTkiyāñ letī hai rah-rah ke jigar meñ fariyād

    nāla-e-dil mujhe tham-tham ke mazā dete haiñ

    mujhe bande ko banā dete haiñ dam meñ maulā

    shaan yuuñ banda-navāzī dikhā dete haiñ

    mire sābir tire qurbāñ meñ pukārūñ kab tak

    muñh se farmāo ḳhudā ke liye haañ dete haiñ

    adab-āmoz haqīqat haiñ vo jalve tere

    sabaq innī-o-anā vo paḌhā dete haiñ

    rahm kar rahm husain ibn-e-'alī sadqa

    tire mohtāj tire dar pe sadā dete haiñ

    der se hum dar-e-daulat pe sada dete hain

    aaj dekhen mere KHwaja mujhe kya dete hain

    bhul jata hai jo kaliyar ki tere rah koi

    hazrat-e-ganj-e-shakar aa ke bata dete hain

    na sahi baKHt mein kuchh mere magar ya sabir

    aap bigDi hui taqdir bana dete hain

    chuTkiyan leti hai rah-rah ke jigar mein fariyaad

    nala-e-dil mujhe tham-tham ke maza dete hain

    mujhe bande ko bana dete hain dam mein maula

    shan yun banda-nawazi ki dikha dete hain

    mere sabir tere qurban mein pukarun kab tak

    munh se farmao KHuda ke liye han dete hain

    adab-amoz haqiqat hain wo jalwe tere

    sabaq inni-o-ana ka wo paDha dete hain

    rahm kar rahm husain ibn-e-'ali ka sadqa

    tere mohtaj tere dar pe sada dete hain

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 12)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now